aalam mein husn tera mashhur jaante hain
arz o sama ka us ko hum nur jaante hain
har-chand do jahan se ab hum guzar gae hain
tis par bhi dil ke ghar ko hum dur jaante hain
jis mein teri raza ho wo hi qubul karna
apna to hum yahi kuchh maqdur jaante hain
sau rang jalwagar hain garche butan-e-alam
hum ek tujhi ko apna manzur jaante hain
labrez-e-mai hain garche saghar ki tarah har dam
tis par bhi aap ko hum maKHmur jaante hain
kuchh aur aarzu ki hargiz nahin samai
az bas tujhi ko dil mein mamur jaante hain
'iman' jis ke dil mein hai yaad us ki har dam
hum to usi ki KHatir masrur jaante hain
Ghazal
Aalam mein husn tera mashhur jaante hain
Sher Mohammad Khan Iman