اردو हिंदी
Aalam mein agar ishq ka bazar na hota | Shaahi Shayari
aalam mein agar ishq ka bazar na hota

Ghazal

Aalam mein agar ishq ka bazar na hota

Ashraf Ali Fughan

;

aalam mein agar ishq ka bazar na hota
koi kisi bande ka KHaridar na hota

hasti ki KHarabi nazar aati jo adam mein
us KHwab se hargiz koi bedar na hota

kahta hai tujhe KHak na dun ghair-e-aziyat
ye dil mein agar thi to mera yar na hota

malum kise thi ye teri KHana-KHarabi
main jaanta aisa to giraftar na hota

aalam ko jalati hai teri garmi-e-majlis
marte hum agar saya-e-diwar na hota

ai shaiKH agar kufr se islam juda hai
pas chahiye tasbih mein zunnar na hota

zalim mere hasid ki to shadi thi isi mein
yani mujhe dar tak bhi tere bar na hota

dete teri majlis mein agar rah 'fughan' ko
us shaKHs se hargiz koi be-zar na hota