aalam ke doston mein murawwat nahin rahi
sharm-o-haya-o-mehr wa shafqat nahin rahi
zahir mein kya rafiq kahate hain aap kun
lekin unon ke dil mein mohabbat nahin rahi
milte hain rasti sin jo koi kaj-nazar mile
KHwabon mein pak-baz ki hurmat nahin rahi
har KHar bul-hawas ke kiye sohbat iKHtiyar
to husn gul-ruKHon mein latafat nahin rahi
na-layqon mein umr kun karnan abas talaf
ham-sohbati ki un mein liyaqat nahin rahi
bhule hain har sanam ke karishme pe hosh kun
in zahidon mein kashf-o-karamat nahin rahi
sifle hue aziz aziz ab hue KHarab
be-jauharon mein qadr-e-sharafat nahin rahi
mat ho bahaar-e-gulshan-e-duniya ka andalib
is phulban mein bu-e-rifaqat nahin rahi
ab zat-e-haq baghair na rakh dosti 'siraj'
aalam mein aashnai-o-ulfat nahin rahi
Ghazal
Aalam ke doston mein murawwat nahin rahi
Siraj Aurangabadi