aalam-e-wajd se iqrar mein aata hua main
qissa-e-dard bana KHwab sunata hua main
mansab-e-dar pe aaya hun baDi shan ke sath
hakim-e-shahr tere hosh uData hua main
zindagi hijr hai aur hijr bhi aisa hai ki bas
sans tak haar chuka wasl kamata hua main
chandni raat mein dariya si rawan yaad ke sath
kaif o masti mein chala jhumta gata hua main
yar dekho to kabhi mausam-e-hijran mein idhar
KHak hota hun yahan dasht sajata hua main
shaKH-e-imkan se teri yaad ki mahkar chunun
ek bhanwra sa teri or ko jata hua main
halqa-e-sher se guzrunga mohabbat mein 'said'
dil ke jazbaat ko alfaz mein lata hua main
Ghazal
Aalam-e-wajd se iqrar mein aata hua main
Mubashshir Saeed