اردو हिंदी
Aalam-e-wahshat-e-tanhai hai kuchh aur nahin | Shaahi Shayari
aalam-e-wahshat-e-tanhai hai kuchh aur nahin

Ghazal

Aalam-e-wahshat-e-tanhai hai kuchh aur nahin

Anjum Azmi

;

aalam-e-wahshat-e-tanhai hai kuchh aur nahin
sar pe ek gumbad-e-minai hai kuchh aur nahin

kyun hua mujh ko inayat ki nazar ka sauda
aaj ruswai hi ruswai hai kuchh aur nahin

apna ghar phunk chuka apna watan chhoD chuka
ye faqat baadiya-paimai hai kuchh aur nahin

ho sake to koi farda ki bana lo taswir
waqt jalwon ka tamannai hai kuchh aur nahin

aao KHush ho ke piyo kuchh na kaho waiz ko
mai-kade mein wo tamashai hai kuchh aur nahin