aalam-e-soz-e-tamanna be-karan karte chalo
zarre zarre ko sharik-e-karwan karte chalo
kitne raushan hain wo aariz kitne shirin hain wo lab
rasta kaT jaega zikr-e-butan karte chalo
sham-e-gham ki zulmaten hain aur sahra-e-hayat
dida-e-bedar ko anjum-fishan karte chalo
raste mein bujh na jaen aarzuon ke charagh
zikr-e-manzil karwan-dar-karwan karte chalo
jaane kis aalam mein aaen aane wale qafile
saya-e-diwar-e-jaanan jawedan karte chalo
mazhar-e-tahzib hai ek ek tar-e-pairahan
bas yunhi andaza-e-sud-o-ziyan karte chalo
Ghazal
Aalam-e-soz-e-tamanna be-karan karte chalo
Qabil Ajmeri