اردو हिंदी
Aalam-e-KHwab sahi KHwab mein chalte rahiye | Shaahi Shayari
aalam-e-KHwab sahi KHwab mein chalte rahiye

Ghazal

Aalam-e-KHwab sahi KHwab mein chalte rahiye

Abid Karhani

;

aalam-e-KHwab sahi KHwab mein chalte rahiye
raat kaT jaegi karwaT to badalte rahiye

kis ko malum kahan se koi patthar aa jae
hausla ho to andheron mein nikalte rahiye

ban hi jaega kabhi koi KHudi ka paikar
apne ehsas ki garmi se pighalte rahiye

zindagi silsila-e-KHwab-e-tamanna hai koi
raat bhar KHwab ko KHwabon se badalte rahiye

hum pe kya hoga zamane ki hawaon ka asar
aap mausam ki tarah roz badalte rahiye

zindagi kya hai sarabon ka safar hai 'abid'
waqt ki ret pe din raat machalte rahiye