اردو हिंदी
Aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha | Shaahi Shayari
aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha

Ghazal

Aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha

Qaisar Nizami

;

aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha
jalwa-ara sirf zat-e-kibriya thi main na tha

kar diya bedar jis ne sakinan-e-arsh ko
wo kisi dard-ashna dil ki sada thi main na tha

muntashir jis ne kiya tha un ki zulf-e-naz ko
sach agar puchho to wo baad-e-saba thi main na tha

khul gaya jo raaz-e-ulfat aaj ahl-e-bazm par
ye tumhaari mast nazron ki KHata thi main na tha

tang aa kar gardish-e-ayyam se bahr-e-sujud
wo to meri zindagi waqf-e-dua thi main na tha

had se jab 'qaisar' baDhi un ki jafa-e-na-rawa
jo ba-ru-e-kar aai wo wafa thi main na tha