aaKHirul-amr teri samt safar karte hain
aaj is naKHl-e-masafat ko shajar karte hain
jo hai aabaad teri aaina-samani se
hum isi KHana-e-hairat mein basar karte hain
dil to wo peT ka halka hai ki bas kuchh na kaho
apni haalat se kab aison ko KHabar karte hain
wasl aur hijr hain donon hi miyan se baiat
dekhiye kis pe inayat ki nazar karte hain
dil ne kuchh zor dikhaya to ye sunna ek din
hum bhi alwand-e-gham-e-yar ko sar karte hain
tum ko to din ki bhi fikr hai duniya ki bhi
bhai hum to yunhi bekar basar karte hain
Ghazal
AaKHirul-amr teri samt safar karte hain
Ahmad Javed