aaKHiri marka ab shahr-e-dhuan-dhaar mein hai
mere sirhane ka patthar isi diwar mein hai
ab hamein pichhle hawala nahin dena paDte
ek yahi faeda bigDe hue kirdar mein hai
beshtar log jise umr-e-rawan kahte hain
wo to ek sham hai aur kucha-e-dildar mein hai
ye bhi mumkin hai ki lahja hi salamat na rahe
majlis-e-shahar bhi ab shahar ke bazar mein hai
dil kahan apni riyasat se alag jata hai
wo to ab bhi usi ujDe hue darbar mein hai
Ghazal
AaKHiri marka ab shahr-e-dhuan-dhaar mein hai
Ahmad Kamal Parwazi