aaKHiri gaDi guzarne ki sada bhi aa gai
so raho be-KHwab aankho! raat aadhi aa gai
zindagi se sikh lin hum ne bhi duniya-dariyan
rafta rafta tum mein bhi mauqa-parasti aa gai
sada-lauhi den jo qasbe ki thi ruKHsat hui
shahr aana tha ki is mein hoshiyari aa gai
hum mile the jaane kya aafat-zada ruhen liye
guftugu auron ki thi aapas mein talKHi aa gai
apne hi ganw ki sarhad par pahunch kar aaj hum
puchhte hain ham-safar! ye kaun basti aa gai
ab na zauq-e-rah-nawardi hai na lutf-e-mandgi
aisa lagta hai ki manzil par sawari aa gai
tark kyun karte nahin ho karobar-e-arzu
'KHanqahi' ab to baalon mein safedi aa gai
Ghazal
AaKHiri gaDi guzarne ki sada bhi aa gai
Nashtar Khaanqahi