aaKHirash aaraishon ki zindagi chubhne lagi
ub si hone lagi mujh ko KHushi chubhne lagi
main na kahta tha ki thoDi c hawas baqi rakho
dekh lo ab is tarah aasudgi chubhne lagi
KHwab ka sailab kya guzra nigahon se meri
ret palkon se jo chipki nind bhi chubhne lagi
tirgi ka dasht napa raushni ke waste
raushni phaili to mujh ko raushni chubhne lagi
saKHt ek lamhe ki rau mein aa ke tauba kar gae
halq mein mere magar ab tishnagi chubhne lagi
ek pashemani si thi mujh ko meri aawaz se
aur jab main chup hua to KHamushi chubhne lagi
ye bhi kya hai bhed mera khol do tum barha
yar 'saurabh' ab to teri muKHbiri chubhne lagi

Ghazal
AaKHirash aaraishon ki zindagi chubhne lagi
Saurabh Shekhar