aaKHir us ke husn ki mushkil ko hal main ne kiya
ek nasri nazm thi jis ko ghazal main ne kiya
kya balaghat aa gai us ke badan ke matn mein
chand lafzon ka jo kuchh radd-o-badal main ne kiya
bais-e-tauhin hai dil ke liye takrar-e-jism
aaj phir kaise karun wo sab jo kal main ne kiya
bazm ho bazar ho sari nigahen mujh pe hain
kya un aankhon ke ishaaron par amal main ne kiya
jis jagah marna tha mujh ko main wahan jita raha
ishq mein har kaam be-mauqa-mahal main ne kiya
Ghazal
AaKHir uske husn ki mushkil ko hal maine kiya
Farhat Ehsas