aaKHir suKHan tamam kiya is dua ke sath
rahna gulon ke beach mahakna hawa ke sath
ek be-kanar hijr meri ruh mein muqim
ek be-panah KHauf meri iltija ke sath
ek be-yaqin raat meri raat ki sharik
ek be-dayar sham dil-e-na-rasa ke sath
ek barg-e-KHushk shaKH se girne ka muntazir
aur mera jism kanp raha hai hawa ke sath
sahra mein khinchti hai mujhe KHwahish-e-qarar
sahra ko khinchta hun main zanjir-e-pa ke sath
aankhon mein meri rang ke dariya utar kar
chehre ko us ne pher liya kis ada ke sath
dil ki girah-kushai faqat shart hai 'razi'
khul jaega wo jism to band-e-qaba ke sath
Ghazal
AaKHir suKHan tamam kiya is dua ke sath
Khwaja Razi Haidar