اردو हिंदी
AaKHir na chali koi bhi tadbir hamari | Shaahi Shayari
aaKHir na chali koi bhi tadbir hamari

Ghazal

AaKHir na chali koi bhi tadbir hamari

Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi

;

aaKHir na chali koi bhi tadbir hamari
ban ban ke bigaDne lagi taqdir hamari

ye ishq ke hathon hui tauqir hamari
bazaron mein bikne lagi taswir hamari

is tarah ke din raat dikhati hai karishme
taqdir pas-e-parda-e-tadbir hamari

jaldi na karo dhaar hai KHanjar pe abhi to
ho lene do sabit koi taqsir hamari

kuchh KHun ki chhinTen kahin ashkon ki nami hai
jati hai ajab shan se tahrir hamari

har samt dahak uThti hai ek aag jahan mein
lo deti hai jab raat ko zanjir hamari

bas Dal lo chehre pe naqab apne KHudara
be-rabt hui jati hai taqrir hamari

ye kahte hi bas mar gaya nakaam-e-mohabbat
tum bhi na hamare hue taqdir hamari

'alim' falak-e-tafraqa-pardaz ka Dar hai
bante hi bigaD jae na taqdir hamari