aaKHir KHud apne hi lahu mein Dub ke sarf-e-wigha hoge
qadam qadam par jang laDi hai kahan kahan barpa hoge
haal ka lamha patthar Thahra yun bhi kahan guzarta hai
hath mila kar jaane walo dil se kahan juda hoge
maujon par lahraate tinko chalo na yun itra ke chalo
aur zara ye dariya utra tum bhi lab-e-dariya hoge
socho khoj mila hai kis ko rah badalte taron ka
is wahshat mein chalte chalte aap sitara sa hoge
sine par jab harf-e-tamanna dard ki surat utrega
KHudi aankh se Tapkoge aur KHud hi dast-e-dua hoge
sukhe peDon ki sab lashen gharq kaf-e-sailab mein hain
qaht-e-ab se marte logo bolo ab kya chahoge
baat ye hai is bagh mein phul se patta hona achchha hai
rang aur KHushbu banToge to pahle rizq-e-hawa hoge
ai mere na-gufta shero ye to batao mere baad
kaun se dil mein qarar karoge kis ke lab se ada hoge
Ghazal
AaKHir KHud apne hi lahu mein Dub ke sarf-e-wigha hoge
Tauseef Tabassum