اردو हिंदी
AaKHir ek din sab ko marna hota hai | Shaahi Shayari
aaKHir ek din sab ko marna hota hai

Ghazal

AaKHir ek din sab ko marna hota hai

Imran Aami

;

aaKHir ek din sab ko marna hota hai
yani misra pura karna hota hai

main dariya ki gahrai tak jata hun
main ne kaun sa par utarna hota hai

apne aansu aap hi rona hote hain
apna ghaw aap hi bharna hota hai

is sahra ko panchhi pujne aate hain
jis sahra ke dil mein jharna hota hai

hum to zamin par rengne wale kiDe hain
hum ne kab hijrat se Darna hota hai

uDne wale kaise bhul gae 'ami'
panw aaKHir KHak pe dharna hota hai