aaKHir gham-e-jaanan ko ai dil baDh kar gham-e-dauran hona tha
is qatre ko banna tha dariya is mauj ko tufan hona tha
har moD pe mil jate hain abhi firdaus-o-jinan ke shaidai
tujh ko to abhi kuchh aur hasin ai aalam-e-imkan hona tha
wo jis ke gudaz-e-mehnat se pur-nur shabistan hai tera
ai shoKH usi bazu pe teri zulfon ko pareshan hona tha
aati hi rahi hai gulshan mein ab ke bhi bahaar aai hai to kya
hai yun ki qafas ke goshon se elan-e-bahaaran hona tha
aaya hai hamare mulk mein bhi ek daur-e-zuleKHai yani
ab wo gham-e-zindan dete hain jin ko gham-e-zindan hona tha
ab khul ke kahunga har gham-e-dil 'majruh' nahin wo waqt ki jab
ashkon mein sunana tha mujh ko aahon mein ghazal-KHwan hona tha
Ghazal
AaKHir gham-e-jaanan ko ai dil baDh kar gham-e-dauran hona tha
Majrooh Sultanpuri