اردو हिंदी
AaKHir-e-shab wo teri angDai | Shaahi Shayari
aaKHir-e-shab wo teri angDai

Ghazal

AaKHir-e-shab wo teri angDai

Aziz Warsi

;

aaKHir-e-shab wo teri angDai
kahkashan bhi falak pe sharmai

aap ne jab tawajjoh farmai
gulshan-e-zist mein bahaar aai

dastan jab bhi apni dohrai
gham ne ki hai baDi pazirai

sajda-rezi ko kaise tark karun
hai yahi wajh-e-izzat-afzai

tum ne apna niyaz-mand kaha
aaj meri murad bar aai

aap farmaiye kahan jaun
aap ke dar se hai shanasai

us ki taqdir mein hai wasl ki shab
jis ne bardasht ki hai tanhai

raat pahlu mein aap the be-shak
raat mujh ko bhi KHub nind aai

main hun yun ism-ba-musamma 'aziz'
waris-e-pak ka hun shaidai