aaKHir-e-kar yahi uzr jafa ka nikla
jurm aur jurm bhi ek umr-e-wafa ka nikla
os mein Dub ke jis tarah nikharta hai gulab
sharm se aur siwa husn ada ka nikla
kya kari hai ki jab dar pe tere aa baiTha
aastin se na kabhi hath gada ka nikla
jo dua mangi hai auron hi ki KHatir mangi
hausla aaj mere dast-e-dua ka nikla
shauq-e-manzil hi liye uTh gae jaane wale
aashna ek na aawaz-e-dara ka nikla
jab tu hi tu hai to phir ghaib o huzuri kaisi
ek hi rang baqa aur fana ka nikla
Ghazal
AaKHir-e-kar yahi uzr jafa ka nikla
Asar Lakhnavi