aaKHir charagh-e-dard-e-mohabbat bujha diya
sar se kisi ki yaad ka patthar gira diya
DhunDe janam janam bhi to duniya na pa sake
yun hum ne us ko apni ghazal mein chhupa diya
KHushbu se us ki jism ki aangan mahak uTha
kamre ko us ne apni hansi se saja diya
ye kis ke intizar mein jhapki nahin palak
ye kis ne mujh ko rah ka patthar bana diya
kya kam hai 'jafari' ki mashinon ke shor ne
logon ko apne aap se milna sikha diya
Ghazal
AaKHir charagh-e-dard-e-mohabbat bujha diya
Fuzail Jafri