aajizi ko chalan kiye hue hain
KHak apna badan kiye hue hun
hijr ek mustaqil libas mera
jis ko main zeb-e-tan kiye hue hun
chand aansu mera asasa hain
jin ko main waqf-e-fan kiye hue hun
aable ug rahe hain panw mein
dasht-e-sarw-e-suman kiye hue hun
ghar mein rah kar bhi ghar nahin rahta
KHud ko yun be-watan kiye hue hun
maut se pahle mar gaya hun main
zindagi ko kafan kiye hue hun
us ka lahja karaKHt ho gaya hai
aur main husn-e-zan kiye hue hun
ek teri yaad hai jise 'zahid'
apne dil ki chubhan kiye hue hun
Ghazal
Aajizi ko chalan kiye hue hain
Zahid Shamsi