aajizi aaj hai mumkin hai na ho kal mujh mein
is tarah aib nikalo na musalsal mujh mein
zindagi hai meri Thahra hua pani jaise
ek kankar se bhi ho jati hai halchal mujh mein
main ba-zahir to hun ek zarra zamin par lekin
apne hone ka hai ehsas mukammal mujh mein
aaj bhi hai teri aankhon mein tapish sahra ki
karwaTen leta hai ab bhi koi baadal mujh mein
jo andheron mein mere sath chala bachpan se
ab wo tara bhi kahin ho gaya ojhal mujh mein
KHwahishen aa ke lipaT jati hain sanpon ki tarah
jab mahakta hai teri yaad ka sandal mujh mein
ab wo aaya to bhaTak jaega rasta 'nusrat'
ab ghana ho gaya tanhai ka jangal mujh mein
Ghazal
Aajizi aaj hai mumkin hai na ho kal mujh mein
Nusrat Mehdi