aajiz tha be-ijz nibhai rasm-e-judai main ne bhi
us ne mujh se hath chhuDaya jaan chhuDai main ne bhi
jangal ke jal jaane ka afsos hai lekin kya karna
us ne mere par girae aag lagai main ne bhi
us ne apne bikhre ghar ko phir se sameTa Thik kiya
apne baam-o-dar pe baiThi gard uDai main ne bhi
nauha-garan-e-yar mein yaron mera nam bhi likh dena
us ke sath bahut din ki hai naghma-sarai main ne bhi
ek diya to marqad par bhi jalta hai 'asim' aaKHir
duniya aas pe qaem thi so aas lagai main ne bhi
Ghazal
Aajiz tha be-ijz nibhai rasm-e-judai maine bhi
Liyaqat Ali Aasim