aajiz hun tere hath se kya kaam karun main
kar chaak gareban tujhe badnam karun main
hai daur-e-jahan mein mujhe sab shikwa tujhi se
kyun kuchh gila-e-gardish-e-ayyam karun main
aawe jo tasarruf mein mere mai-kada saqi
ek dam mein KHumon ke KHumen inam karun main
hairan hun tere hijr mein kis tarah se pyare
shab roz ko aur subh ke tain sham karun main
mujh ko shah-e-alam kiya us rab ne na kyunkar
allah ka shukrana inam karun main
Ghazal
Aajiz hun tere hath se kya kaam karun main
Aftab Shah Alam Sani