aaj yun mujh se mila hai ki KHafa ho jaise
us ka ye husn bhi kuchh meri KHata ho jaise
wahi mayusi ka aalam wahi naumidi ka rang
zindagi bhi kisi muflis ki dua ho jaise
kabhi KHamoshi bhi yun bolti hai pyar ke bol
koi KHamoshi mein bhi naghma-sara ho jaise
harf-e-dushnam se yun us ne nawaza hum ko
ye malamat hi mohabbat ka sila ho jaise
is takalluf se sitam hum pe rawa rakhta hai
ye bhi minjumla-e-adab-e-wafa ho jaise
gham-e-ayyam pe yun KHush hain tere diwane
gham-e-ayyam bhi ek teri ada ho jaise
bandagi hum ko to aai ki na aai lekin
husn yun ruTh gaya hai ki KHuda ho jaise
Ghazal
Aaj yun mujhse mila hai ki KHafa ho jaise
Akbar Ali Khan Arshi Zadah