aaj yun dard tera dil ke ufuq par chamka
jaise do pul ke liye subh ka aKHtar chamka
yun ziya-bar rahi hijr ki shab yaad teri
gham ka shoala tere ruKHsar se baDh kar chamka
KHak-e-gulshan se na koi bhi sharara phuTa
fasl-e-gul aai na koi bhi gul-e-tar chamka
ab nahin ahl-e-nazar ahl-e-basirat koi
lal samjhe hain use jab koi patthar chamka
ek kiran chhoD gaya dida-o-dil mein 'hafiz'
wo hasin ashk ki jo nok-e-mizha par chamka
Ghazal
Aaj yun dard tera dil ke ufuq par chamka
Hafiz Ludhiyanvi