aaj wo phul bana husn-e-dil-ara dekha
sach hua pichhle baras jo bhi kaha tha dekha
dhyan mein lae tasawwur mein basaya dekha
itna hi ajnabi paya use jitna dekha
kis wasile se bhala arz-e-tamanna karte
hum ne jis waqt bhi dekha use tanha dekha
kab se ehsas pe ek bojh liye phirte hain
kash puchho ki bhari bazm mein kya kya dekha
shah-rahon ke ghane peD kaTe hain jab se
chaunk uTThe hain jahan apna bhi saya dekha
dafatan aa gaya phir Dubte suraj ka KHayal
sham ke waqt jo dariya ka kinara dekha
Ghazal
Aaj wo phul bana husn-e-dil-ara dekha
Ameen Rahat Chugtai