aaj viraniyon mein mera dil naya silsila chahta hai
sham Dhalne ko hai zindagi ki KHuda aur kya chahta hai
dhup ki niyyaton mein bhaDakne lage nafraton ke alaw
ai ghaTa is liye tujh ko mera badan oDhna chahta hai
nind ki rahaton se nahin mutmain silsila dhaDkanon ka
phir dil-e-zar ranaiyon mein gundha ratjaga chahta hai
teri nazdikiyon ko pahan ke main shahzada lagne laga hun
chhu ke ranginiyan ab ke dekhun teri ji, baDa chahta hai
parwarish hauslon ki tamam umr mere lahu ne KHamoshi se ki
ab junun aks ko dekhne ke liye aaina chahta hai
jo hatheli ki sari purani lakiron ko tabdil kar de
aisa KHush-rang har aadmi ab yahan saneha chahta hai
tum samundar ke sahme hue josh ko mera paigham dena
mausam-e-habs mein phir koi aaj taza hawa chahta hai
umr bhar aansuon se jo dhota raha chehra mahrumiyon ka
wo teri rahmaton se mere maula ab ke jaza chahta hai
naz tha jis ko meri rifaqat ke har lamha-e-muKHtasar par
aaj mahsus aisa hua hai ki wo fasla chahta hai
Ghazal
Aaj viraniyon mein mera dil naya silsila chahta hai
Rafique Khayal