اردو हिंदी
Aaj unhen dekh liya bazm mein farzanon ki | Shaahi Shayari
aaj unhen dekh liya bazm mein farzanon ki

Ghazal

Aaj unhen dekh liya bazm mein farzanon ki

Habab Tirmizi

;

aaj unhen dekh liya bazm mein farzanon ki
hum ne tarif suni thi tere diwanon ki

dida-war silsial-e-ashk samajhte hain jise
kahkashan hai mere mahbub ke ehsanon ki

tum ko aana hai to aa jao ujala hai abhi
shamen raushan hain mere gham ke shabistanon ki

mo'tariz hain meri diwana-washi par wo log
jin ko daman ki KHabar hai na garebanon ki

hum hain mai-KHana-e-fitrat ke sharabi hum ko
na surahi ki zarurat hai na paimanon ki

hans rahe ho to hanso aur hanso KHub hanso
haalat-e-zar pe hum be-sar-o-samanon ki

ahd-e-hazir ke nae 'mir' wahan honge 'habab'
mujh ko mahfil mein na le jao suKHan-danon ki