aaj to rone ko ji ho jaise
phir koi aas bandhi ho jaise
shahr mein phirta hun tanha tanha
aashna ek wahi ho jaise
har zamane ki sada-e-matub
mere sine se uThi ho jaise
KHush hue tark-e-wafa kar ke hum
ab muqaddar bhi yahi ho jaise
is tarah shab gae TuTi hai umid
koi diwar giri ho jaise
yas-alud hai ek ek ghaDi
zard phulon ki laDi ho jaise
main hun aur wada-e-farda tera
aur ek umr paDi ho jaise
be-kashish hai wo nigah-e-sad-lutf
ek mohabbat ki kami ho jaise
kya ajab lamha-e-gham guzra hai
umr ek bit gai ho jaise
Ghazal
Aaj to rone ko ji ho jaise
Rajinder Manchanda Bani