اردو हिंदी
Aaj to hamdam azm hai ye kuchh hum bhi rasmi kaam karen | Shaahi Shayari
aaj to hamdam azm hai ye kuchh hum bhi rasmi kaam karen

Ghazal

Aaj to hamdam azm hai ye kuchh hum bhi rasmi kaam karen

Nazeer Akbarabadi

;

aaj to hamdam azm hai ye kuchh hum bhi rasmi kaam karen
kilk uTha kar yar ko apne nama-e-shauq arqam karen

KHubi se alqab likhen aadab bhi KHush-aini se
baad is ke hum tahrir mufassal furqat ke aalam karen

ya KHud aawe aap idhar ya jald bulawe hum ko wahan
is matlab ke likhne ko bhi KHub sa sar-anjam karen

husn ziyaada aan moassir naz ki shoKHi ho wo chand
aise kitne harf likhen aur nae ko ashmam karen

sun kar wo hans kar yun bola ye to tumhein hai fikr abas
aql jinhen hai wo to hargiz ab na KHayal-e-KHam karen

kaam yaqinan hai wahi achchha jo ki ho apne mauqa se
baat kahen ya nama likhen yaro subh se sham karen

is mein bhala kya hasil hoga soch to dekho miyan 'nazir'
wo to KHafa ho phenk de KHat aur log tumhein bad-nam karen