aaj tak us ki mohabbat ka nasha tari hai
phul baqi nahin KHushbu ka safar jari hai
sehr lagta hai pasine mein nahaya hua jism
ye ajab nind mein Dubi hui bedari hai
aaj ka phul teri kokh se zahir hoga
shaKH-e-dil KHushk na ho ab ke teri bai hai
dhyan bhi us ka hai milte bhi nahin hain us se
jism se bair hai sae se wafa-dari hai
dil ko tanhai ka ehsas bhi baqi na raha
wo bhi dhundla gai jo shakl bahut pyari hai
is tag-o-taz mein TuTe hain sitare kitne
aasman jit saka hai na zamin haari hai
koi aaya hai zara aankh to kholo 'shahzad'
abhi jage the abhi sone ki tayyari hai
Ghazal
Aaj tak uski mohabbat ka nasha tari hai
Shahzad Ahmad