aaj tak phirta raha main tujh mein hi khoya hua
tujh se bichhDa hun to KHud se mil liya achchha hua
zindagi ki chilchilati dhup mein aisa hua
muddaton hum par na teri yaad ka saya hua
dil se shayad tera gham bhi ab juda hone ko hai
phir raha hun in dinon KHud se bhi main uljha hua
tum chamakti car phulon ki mahak ek ajnabi
aise lagta hai ye manzar hai mera dekha hua
reza reza ho gaya main to ne jab aawaz di
teri KHamoshi se tha main is qadar TuTa hua
kitni yaaden aansuon mein tharthara kar rah gain
us ne jab puchha kaho 'azad' tum ko kya hua
Ghazal
Aaj tak phirta raha main tujh mein hi khoya hua
Azad Gulati