aaj tak dil ki aarzu hai wahi
phul murjha gaya hai bu hai wahi
sau bahaaren jahan mein aai gain
maya-e-sad-bahaar tu hai wahi
jo ho puri wo aarzu hi nahin
jo na puri ho aarzu hai wahi
man leta hun tere wade ko
bhul jata hun main ki tu hai wahi
tujh se sau bar mil chuke lekin
tujh se milne ki aarzu hai wahi
sabr aa jae is ki kya ummid
main wahi, dil wahi hai, tu hai wahi
ho gai hai bahaar mein kuchh aur
warna saghar wahi subu hai wahi
umr guzri talash mein lekin
garmi-ha-e-justuju hai wahi
mai-kade ka 'jalil' rang na puchh
raqs-e-jam o KHum o subu hai wahi
Ghazal
Aaj tak dil ki aarzu hai wahi
Jaleel Manikpuri