aaj tak bahka nahin bahar se diwana tera
hausle meri nigahon ke hain paimana tera
raat bhar shabnam ki aankhon se sahar ki mang mein
main jise likhta raha wo bhi tha afsana tera
ye tere dariya salamat ye tere baadal ba-KHair
luT rahe hain KHum pe KHum sabit hai mai-KHana tera
aansuon ki aab-e-ju hail hai warna laun main
meri nazron ka sharar aankhon ka KHas-KHana tera
dil mein dhaDkan ki tarah sanson mein KHushbu ki tarah
ab KHayalon mein bhi kab aata hai wo aana tera
awwal awwal to tamazat dopahar ke dasht ki
aaKHir aaKHir apni nazron ko jhuka jaana tera
reza reza kar gai patthar ko bhi shabnam ki choT
hae kis dil se magar wo mujh ko samjhana tera
Ghazal
Aaj tak bahka nahin bahar se diwana tera
Lutf-ur-rahman