اردو हिंदी
Aaj socha to aansu bhar aae | Shaahi Shayari
aaj socha to aansu bhar aae

Ghazal

Aaj socha to aansu bhar aae

Kaifi Azmi

;

aaj socha to aansu bhar aae
muddaten ho gain muskurae

har qadam par udhar muD ke dekha
un ki mahfil se hum uTh to aae

rah gai zindagi dard ban ke
dard dil mein chhupae chhupae

dil ki nazuk ragen TuTti hain
yaad itna bhi koi na aae