اردو हिंदी
Aaj shab-e-mearaj hogi is liye tazin hai | Shaahi Shayari
aaj shab-e-mearaj hogi is liye tazin hai

Ghazal

Aaj shab-e-mearaj hogi is liye tazin hai

Aurangzeb

;

aaj shab-e-mearaj hogi is liye tazin hai
wo qadam uTThe hain jin ko aasman qalin hai

man ne paDh kar phunk di thi mujh pe bachpan mein kabhi
mere dil par naqsh ab tak sura-e-yasin hai

ashk ke bose ki lazzat kya bataun main tumhein
kya bataun main tumhein ye kis qadar namkin hai

us ko darweshi samajhne walon par hairan hun
hath mein kasa uThana ishq mein tauhin hai

ilm ki KHwahish tumhein manzil talak le jaegi
jaane wale to bano agle qadam par chin he

aur bhi yaron se kahna waqt pe sab aa milen
mere ghar ke sahn mein ek KHwab ki tadfin hai

sochna is bab mein bekar jaega tera
ye mohabbat hai miyan us ka alag aain hai

us ke lab par ek dua hai sirf meri maut ki
mere lab par kuchh nahin kuchh bhi nahin aamin hai

ab mohabbat ki taraf main lauTne wala nahin
dil ye tu ne Thik samjha aisa hi kuchh scene hai

uD raha hai 'zeb' ki tahrir ke aahang mein
ye parinda hazrat-e-iqbaal ka shahin hai