aaj sarsabz koh o sahra hai
har taraf sair hai tamasha hai
chehra-e-yar o qamat-e-zeba
gul-e-rangin o sarw-e-rana hai
mani-e-husn o mani-e-KHubi
surat-e-yar sun huwaida hai
dam-e-jaan-baKHsh nau-KHatan muj kun
chashma-e-KHizr hai masiha hai
kamar-e-nazuk o dahan-e-sanam
fikr barik hai muamma hai
mu-ba-mu us kun hai pareshani
zulf-e-mushkin ka jis kun sauda hai
kya haqiqat hai tujh tawazo ki
yu talattuf hai ya mudawa hai
sabab-e-dilrubai-e-ashiq
mehr hai lutf hai dilasa hai
jun 'wali' raat din hai mahw-e-KHayal
jis kun tujh wasl ki tamanna hai
Ghazal
Aaj sarsabz koh o sahra hai
Wali Mohammad Wali