aaj ruswa hain to hum kucha-o-bazar bahut
ya kabhi git bhi gate the sar-e-dar bahut
apne haalat ko suljhao to kuchh baat bane
mil bhi jaenge kabhi gesu-e-KHamdar bahut
dil ke zaKHmon ko bhi mumkin ho to dekho warna
chand se chehre bahut phul se ruKHsar bahut
aaj mahaul mein fitne hain sar-e-dair-o-haram
aaj behtar hai parastish ko dar-e-yar bahut
luT gae ek hi angDai mein aisa bhi hua
umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyar bahut
ajnabi ban ke rahe shahr mein hum haalanki
saya-e-zulf bahut saya-e-diwar bahut
'qais' na-qadri-e-ahbab ka shikwa hai fuzul
koi yusuf hi nahin warna KHaridar bahut
Ghazal
Aaj ruswa hain to hum kucha-o-bazar bahut
Qais Rampuri