aaj phir waqt koi apni nishani mange
baat bhuli hui zaKHmon ki zabani mange
jazba-e-shauq ki waraft-e-husn-e-ibham
aur wo shoKH ki lafzon ke maani mange
araq-alud hain ye soch ke aariz gul ke
subh-e-KHurshid na shabnam ki jawani mange
jaane kyun sham Dhale Dubte suraj ka saman
dil se phir bhuli hui koi kahani mange
waqt har gam pe ek zaKHm naya deta hai
aur shair se jahan zamzama-KHwani mange
dil ki tapte hue sahra ka hai rahraw pyare
phir teri zulf se ek sham suhani mange
Ghazal
Aaj phir waqt koi apni nishani mange
Syed Shakeel Desnavi