aaj phir us dil-nashin par aa gaya hai
dil jahan tha phir wahin par aa gaya hai
ek shahzade KHuda ke aasare par
kufiyon ki sarzamin par aa gaya hai
sar nigun jab se kiya hai tere aage
aasman meri jabin par aa gaya hai
wo jo kal tak han mein han karta tha meri
aaj to wo bhi nahin par aa gaya hai
KHwab mein iblis ne aa kar bataya
aadmi aadam ke din par aa gaya hai
tujh se pahle bhi makan KHali nahin tha
tu magar is ke makin par aa gaya hai
mujh se 'momin' ka pata kya puchhte ho
aankh kholo wo yahin par aa gaya hai
Ghazal
Aaj phir us dil-nashin par aa gaya hai
abdurrahman momin