اردو हिंदी
Aaj phir un se mulaqat pe rona aaya | Shaahi Shayari
aaj phir un se mulaqat pe rona aaya

Ghazal

Aaj phir un se mulaqat pe rona aaya

Zaki kakorvi

;

aaj phir un se mulaqat pe rona aaya
bhuli-bisri hui har baat pe rona aaya

ghair ke lutf-o-inayat pe rona aaya
aur apnon ki shikayat pe rona aaya

aql ne tark-e-talluq ko ghanimat jaana
dil ko badle hue haalat pe rona aaya

ahl-e-dil ne kiye tamir haqiqat ke sutun
ahl-e-duniya ko riwayat pe rona aaya

hum na samjhe the ki ruswai-e-ulfat to hai
ai junun teri KHurafat pe rona aaya

wo bhi din the ki bahut naz tha apne upar
aaj KHud apni hi auqat pe rona aaya

mana karte magar is tarah se lazim bhi na tha
aap ke talKH jawabaat pe rona aaya

chhoDiye bhi meri qismat mein likha tha ye bhi
aap ko kyun mere haalat pe rona aaya