aaj phir sar-e-maqtal de ke KHud lahu hum ne
tegh-e-dast-e-qatil ki rakh li aabru hum ne
jaan-e-ghuncha-o-lala ruh-e-rang-o-bu hum ne
aap ko banaya hai kitna KHub-ru hum ne
jab bhi lutf-e-saqi mein farq aate dekha hai
baDh ke toD Dale hain saghar-o-subu hum ne
barha zabanon par lag gai hai pabandi
barha nigahon se ki hai guftugu hum ne
rah-e-shauq mein aksar wo bhi waqt aaya hai
jab kiya hai hathon se KHun-e-arzu hum ne
shahr ho bayaban ho dar ho ki zindan ho
naghme zindagi hi ke gae chaar-su hum ne
Ghazal
Aaj phir sar-e-maqtal de ke KHud lahu humne
Wahid Premi