aaj phir saqi-e-gulfam se baaten hongi 
mai-gusaron ki mai-o-jam se baaten hongi 
phir tere aariz-o-gesu ke nazare honge 
phir nai subh nai sham se baaten hongi 
ho chukin aish-o-masarrat se bahut kuchh baaten 
hongi ab to gham-o-alam se baaten hongi 
umr-bhar khaenge hum wada-e-farda ka fareb 
umr-bhar hasrat-e-nakaam se baaten hongi 
hogi KHalwat mein bhi hail na KHamoshi mujh ko 
naqsh-e-diwar-o-dar-o-baam se baaten hongi 
gardish-e-jam se lab honge mere mahw-e-kalam 
jab meri gardish-e-ayyam se baaten hongi 
murgh-e-dil zauq-e-asiri pe hai mail 'ummid' 
kis ki zulfon ke hasin dam se baaten hongi
        Ghazal
Aaj phir saqi-e-gulfam se baaten hongi
Raghunath Sahai

