aaj phir ru-ba-ru karoge tum
mujh se kya guftugu karoge tum
mujh se loge mere lahu qisas
phir mujhe surKH-ru karoge tum
haif ho meri bad-mizaji par
aap apna lahu karoge tum
tum ganwa doge ek din mujh ko
phir meri justuju karoge tum
tum saf-e-dostan mein ho lekin
phir bhi kar-e-adu karoge tum
zaKHm par zaKHm khae jate ho
aur rafu par rafu karoge tum
hum bhi maqtal mein sar kaTaenge
apne KHun se wuzu karoge tum
ai meri jaan aib hai ye bhi
hum ko main tum ko tu karoge tum
main to 'shahid' bhi hun 'kamal' bhi hun
mere haq mein ghulu karoge tum
Ghazal
Aaj phir ru-ba-ru karoge tum
Shahid Kamal