aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya
dil ki bigDi hui taswir pe rona aaya
ishq ki qaid mein ab tak to umidon pe jiye
miT gai aas to zanjir pe rona aaya
kya hasin KHwab mohabbat ne dikhaya tha hamein
khul gai aankh to tabir pe rona aaya
pahle qasid ki nazar dekh ke dil sahm gaya
phir teri surKHi-e-tahrir pe rona aaya
dil ganwa kar bhi mohabbat ke maze mil na sake
apni khoi hui taqdir pe rona aaya
kitne masrur the jine ki duaon pe 'shakil'
jab mile ranj to tasir pe rona aaya
Ghazal
Aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya
Shakeel Badayuni