aaj palkon ko jate hain aansu
ulTi ganga bahate hain aansu
aatish-e-dil to KHak bujhti hai
aur ji ko jalate hain aansu
KHun-e-dil kam hua magar jo mere
aaj tham tham ke aate hain aansu
jab talak dida girya-saman ho
dil mein kya josh khate hain aansu
gokharo par tumhaari angiya ke
kis ke ye lahar khate hain aansu
teri pazeb ke jo hain moti
un se aankhen laDate hain aansu
shama ki tarah ek lagan mein mere
'mushafi' kab samate hain aansu
fikr kar un ki warna majlis mein
abhi tufan late hain aansu
Ghazal
Aaj palkon ko jate hain aansu
Mushafi Ghulam Hamdani