aaj meri shab-e-furqat ki sahar aai hai
muddaton baad teri rahguzar aai hai
dekh to lije mere KHun-e-tamanna ki bahaar
jis ki surKHi meri aaankhon mein utar aai hai
tu ne to tark-e-mohabbat ki qasam khai thi
kyun teri aankh mujhe dekh ke bhar aai hai
un ke pairahan-e-rangin ki mahak hai is mein
aaj kya baad-e-saba ho ke udhar aai hai
is mein kuchh un ki jafaen bhi to shamil hain 'shamim'
bewafai ki jo tohmat mere sar aai hai
Ghazal
Aaj meri shab-e-furqat ki sahar aai hai
Shamim Jaipuri