aaj main ne use nazdik se ja dekha hai
wo daricha to mere qad se bahut uncha hai
apne kamre ko andheron se bhara paya hai
tere bare mein kabhi ghaur se jab socha hai
har tamanna ko riwayat ki tarah toDa hai
tab kahin ja ke zamana mujhe ras aaya hai
tum ko shikwa hai mere ahd-e-mohabbat se magar
tum ne pani pe koi lafz kabhi likkha hai
aisa bichhDa ki mila hi nahin phir us ka pata
hae wo shaKHs jo aksar mujhe yaad aata hai
koi us shaKHs ko apna nahin kahta 'azar'
apne ghar mein bhi wo ghairon ki tarah rahta hai
Ghazal
Aaj maine use nazdik se ja dekha hai
Kafeel Aazar Amrohvi